SK_royal_court
Plz Log In 4 Enjoying Much more THan ur expectations
SK_royal_court
Plz Log In 4 Enjoying Much more THan ur expectations
SK_royal_court
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.


 
HomeHome  Latest imagesLatest images  RegisterRegister  Log inLog in  

 

 Comp 4 Urdu shairi_Jan_2011

Go down 
5 posters
AuthorMessage
Admin
Royal Faculty
Royal Faculty
Admin


Gender : Female Zodiac : Virgo Ramadaan
Birthday : 1992-08-28
Join date : 2009-12-08
Location : Every where
Job/hobbies : M.A arabic student

Comp 4 Urdu shairi_Jan_2011 Empty
PostSubject: Comp 4 Urdu shairi_Jan_2011   Comp 4 Urdu shairi_Jan_2011 EmptySun Jan 09, 2011 6:29 am

Assalam o Alaikum....
U have to share here a Shair on

"jheel c Ankhien"

RUles:

1. editting not allowed
2. one member one sharing
3. Last date is 25 January.2011


Last edited by Admin on Sat Feb 05, 2011 5:13 am; edited 1 time in total
Back to top Go down
https://sk-royal-court.forumotion.com manoseeker
Admin
Royal Faculty
Royal Faculty
Admin


Gender : Female Zodiac : Virgo Ramadaan
Birthday : 1992-08-28
Join date : 2009-12-08
Location : Every where
Job/hobbies : M.A arabic student

Comp 4 Urdu shairi_Jan_2011 Empty
PostSubject: Re: Comp 4 Urdu shairi_Jan_2011   Comp 4 Urdu shairi_Jan_2011 EmptyWed Jan 12, 2011 6:40 am

[You must be registered and logged in to see this image.]

Hain aankhein jheel si,chehra kitab jaisa hai
K mere yaar kar ka har naqsh khawab jaisa hai

Kissi bhi baat par ab bheegti nahin aankhein
K Apna haal bhi sookhay chanaab jaisa hai

Yeh aarzu hai kabhi tau andheri shab mein milay
Woh aik shakhs jo maahtaab jaisa hai

Yeh saaz-e-jaan tau khamosh aik umer se hai
Agarchay lehja abhi tak rubaab jaisa hai

Main us k husn ki taareef kiss tarah se karun
Woh aaftaab sa,maahtaab jaisa hai

Tumharay baad main kiss cheez se lagaaun dil
Meri nazar mein sabhi kuch habaab jaisa hai

Har aik zar-ra chamak daar kiyun nahin hota
Har aik zar-ra agar aaftaab jaisa hai

Kissay sunaaun main is dil ki daastaan WASIQ
Shab-E-Firaaq ka har pal azaab jaisa hai
Back to top Go down
https://sk-royal-court.forumotion.com manoseeker
♥Royal♥
Royal Queen
Royal Queen
♥Royal♥


Gender : Female Join date : 2009-12-13
Location : Dunya main...
Job/hobbies : book reading,computer,designing....

Comp 4 Urdu shairi_Jan_2011 Empty
PostSubject: Re: Comp 4 Urdu shairi_Jan_2011   Comp 4 Urdu shairi_Jan_2011 EmptyWed Jan 12, 2011 11:46 am

[You must be registered and logged in to see this image.]


Ajab Din they Mohabbat k
- -
Ajab Din they Chahat k !
- -
Kabhi jo Yaad aa jaein to
Palkon par Sitare jhilmilate
hain !
- -
Kisi ki Yaad men raton ko
aksar jaagna Maamool tha
apna !
- -
kabhi jo neend aa jati to Hum
ye soch lete they !
- -
"abhi to Wo Hamare waste
Roya nahin hoga !
-
Abhi Soya nahin hoga !
-
Abhi Hum b nahin Rotey !
-
Abhi Hum b nahin Sotey" !
- -
To Hum phir jaagtey they aur
Usko Yaad kartey they !
- -
Akaile baith kar weeran DiL
abaad kartey they !
- -
Hamare saamne Taron k
jhurmat men akaila Chand
hota tha !
- -
Jo us k Husn k agey boht hi
Maand hota tha !
- -
Falak par raks kartey an'gint
Roshan Ritaron ko,
-
jo Hum Tarteeb daite they !
-
To uska Naam banta tha !
-
Hum agley roz jab Miltey !
-
To pichli raat ki har be qali ka
Zikr kartey they !
-
Har qissa Sunatey they !
-
Kahan, kis waqt, kaise, kis
tarah DiL dhadka batatey
they !
-
Main jab usko batata tha k
jana !
-
Aaj to Main Raat ko ik pal
nahin Soya !
-
To wo khamosh rehti thi !
-
Par uski neend men doobi do
jheel c aankhen !
-
Achanak bol uthti theen !
-
Main jab usko batata tha !
-
k jana!
raat ko roshan sitaron
men tumhara naam dekha
tha !
-
To wo kehti Tum jhoot
kehtey ho !
-
Sitare maine dekhey they !
-
Aur un roshan sitaron par
Tumhara naam likha hai !
-
Ajab Maasoom ladki thi .!
-
Mujhe kehti thi k lagta hai !
-
wo apne Sitare Mil hi jaein
ge !
-
Magar usko khabar kya thi.
-
Kinare Mil nahin saktey.
-
Mohabbat ki kahani men,
-
Mohabbat karne walon k,
-
Sitare Mil nahin saktey,
,
Sitare Mil nahin saktey.!
Back to top Go down
FriEnd 43v3r
Garnet Gem
Garnet Gem
FriEnd 43v3r


Gender : Male Zodiac : Aquarius Rajab
Birthday : 1990-02-17
Join date : 2011-01-12
Location : canada

Comp 4 Urdu shairi_Jan_2011 Empty
PostSubject: Re: Comp 4 Urdu shairi_Jan_2011   Comp 4 Urdu shairi_Jan_2011 EmptyWed Jan 12, 2011 7:51 pm

Ye jo shafaf sa ik aks us jheel mein tha

Koi chehra tha magar chand ki tamseel mein tha

Yaad karta hun kahan bhool k aya hun usay

Aisa hi aks mri soch ki zambeel mein tha

Baat kya thi ye mujhe achi tarha yad nhi

Haan tra zikr b tha aur bri tafseel mein tha

Koi ****** tha ankhon mein,so ankhon mein rha

Masla asal to ****** ki tarseel mein tha

Is naye nuskhay mein tehreef hui hy warna

Zikr mra b kahin pyar ki injeel mein tha.
Back to top Go down
awais_aasi
Garnet Gem
Garnet Gem
awais_aasi


Gender : Male Zodiac : Leo Muharram
Birthday : 1984-08-17
Join date : 2009-12-10
Location : Lahore
Job/hobbies : Aul faul bkna

Comp 4 Urdu shairi_Jan_2011 Empty
PostSubject: Re: Comp 4 Urdu shairi_Jan_2011   Comp 4 Urdu shairi_Jan_2011 EmptyWed Jan 12, 2011 9:28 pm

[You must be registered and logged in to see this image.]

Yeh tairi jheel see ankhoon mein rut'jagoon kay bhanwar
yeah tairay phool say chehray pay chandini ke phawar
Yeah tairay lab yeh diyaar e yuman kay surkh aqeeq
Yeh aainay see jabeeen, sajda'gah e layal o nehaar

Yeah bay'nayaaz ghanay jungloon say baal tairay
Yeah phoolti hoi sarsoon ka aks galoon par
Yeah dharkanoon ke zubaan boltay howay abroo
Kamand daal rahay hain mairay khayaloon par

Yeah naram naram say hathoon ka garam garam lamas
Gudaaz jisam pay baloor tehoon ka samaan!
Yeah ungliyaan, yeah zumurad tarashee shakhain!
Kiran kiran tairay dantoon pay motiyoon ka gumaan

Yeah chandini mein dhullay paoon jab bhi ruqs karain
Fiza mein un ginay ghungroo chanaknay lagtay hain
Yeah paoon jab kissi rastay mein rung barsayain
Tu mousmoon kay muqadar chamaknay lagtay hain

Tairi jabeen pay agar hadson kay naqas ubhrain
Mizaaj gardish e doraan bhi larkharaa jaye
Tu muskuraye tu subhain tujhay salaam karain
Tu ro paray tu zamanay ke ankh bhar aye

Taira khayaal hai khushboo, taira libaas kiran!
Tu khaak zaad hai ya asmaan say utree hai ?
Mein tujh ko daikh kay khud say sawaal karta hoon
Yeah mouj e rung zameen par kahaan say utaree hai ?

Mein kis tarhaan tujhay lafzoon ka payrhan bakhshoon ?
Mairay hunar ke bulandi tu sar'nagoon hai abhi
Tairay badan kay khud o khaal mairay bus mein nahi
Mein kis tarhaan tujhay sochoon, yeahi junoon hai abhi

Milay hain youn tu kaye rung kay haseen chehray!
Mein bay'nayaaz raha mouj e saba ke tarhaan !!
Tairi qasam tairi qurbat kay mousmoon kay baghair
Zameen pay mein bhi akayla phir khuda ke tarhaan

Magar mein shehar e hawadis kay sung zadoon say
Yeah Aaina saa badan kis tarhaan bachaoon ga ?
Mujhay yeah dar hai kissi roz tairay kurb samait
Mein khud bhi dukh kay samandar mein doob jaoon ga!

Mujhay yeah dar hai kay tairay tabasumoon ke phuwaar
Younhi wafa ka taqaza, haya ka toor na hooo ?
Taira badan, tairi duniya hai muntazir jiss ke,
Mein sochta hoon mairi jaan woh koi "Aur" na hoo

Mein soochta hoon magar sochnay say kaya hasil ?
Yeah tairi jheel see ankhoon mein rut'jagoon kay bhanwar
Back to top Go down
♥Noor ul Ain♥
DesigneR
avatar


Gender : Female Zodiac : Aries Rabi-us-Saani
Birthday : 1987-03-21
Join date : 2009-12-10
Location : Apne Dil Main (♥)
Job/hobbies : Chawiliyaan Maarna

Comp 4 Urdu shairi_Jan_2011 Empty
PostSubject: Re: Comp 4 Urdu shairi_Jan_2011   Comp 4 Urdu shairi_Jan_2011 EmptyThu Jan 13, 2011 3:50 am

[You must be registered and logged in to see this image.]

In Jheel Si Gehri Aankhoon mein Ek shaam kahin Aabad to Ho..


Is Jheel Kinaare Pal do Pal Ek khwaab ka neela phool khiley..

wo phool baha dein Lehron mein
Ek roz kabhi Hum sham dhaley..

Is phool Ke Behtey Rangon mein
jis waqt Larazta Chaand chaley..

Us waqt kahin un Aankhon mein
is basrey Pal ki yaad to Ho..


In Jheel Si Gehri Aankhoon main Ek shaam kahin Aabad to Ho
Back to top Go down
Sponsored content





Comp 4 Urdu shairi_Jan_2011 Empty
PostSubject: Re: Comp 4 Urdu shairi_Jan_2011   Comp 4 Urdu shairi_Jan_2011 Empty

Back to top Go down
 
Comp 4 Urdu shairi_Jan_2011
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» Comp 4 Urdu Literature_Jan_2011
» COmp 4 URdu Literature August_2010
» COmp 4 Urdu poetry n ghazals August_2010
» COmp 4 urdu literature PALACE September_2010
» Comp 4 urdu literature Palace Nov -2010

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
SK_royal_court :: Competitions n Results :: Competitions-
Jump to: